jab main ne kaha ai but-e-khud-kaam ware aa tab kahne laga chal be o bad-nam pare ja hai subh se aashiq ka tere haal nipat tang malum ye hota hai ki ta-sham marega naseh mere rone ka na mane ho ki aashiq gar ye na kare kaam to phir kaam kare kya aata hai gar is abr mein ai saqi-e-gulfam to baada-e-gul-rang se tu jam bhare la yan zist ka khatra nahin han khinchiye talwar wo ghair tha jo dekh ke samsam dare tha main ne jo kaha ek to bosa tu mujhe de bola wo zaban apni ko tu tham are ha! gar dida-o-dil farsh karun rah mein 'jurat' mumkin hi nahin jo wo dil-aram dhare pa