koi saughat-e-wafa de ke chala jaunga tujh ko jine ki ada de ke chala jaunga mere daman mein agar kuchh na rahega baqi agli naslon ko dua de ke chala jaunga teri rahon mein mere baad na jaane kya ho main to naqsh-e-kaf-e-pa de ke chala jaunga meri aawaz ko tarsega tera rang-mahal main to ek bar sada de ke chala jaunga mera mahaul rulata hai mujhe aaj magar tum ko hansne ki faza de ke chala jaunga bais-e-amn-o-mohabbat hai agar mera lahu qatra qatra ba-khuda de ke chala jaunga umr bhar bukhl ka ehsas rulaega tumhein main to sail hun dua de ke chala jaunga mere ajdad ne saunpi thi jo mujh ko 'razmi' nasl-e-nau ko wo qaba de ke chala jaunga