jine ke agar chand sahaare bhi mile hain to jaan se jaane ke ishaare bhi mile hain har chand rah-e-ishq ke gham sakht hain lekin is rah ke kuchh gham hamein pyare bhi mile hain kuchh apni wafaon se jo ummid thi hum ko kuchh un ki nigahon ke sahaare bhi mile hain ai rah-raw-e-rah-e-junun bhul na jaana is rah mein ji jaan se haare bhi mile hain ilzam-e-taghaful hamein taslim hai lekin badle hue andaz tumhaare bhi mile hain kya kijiye tadbir se haara nahin jata go rah mein taqdir ke mare bhi mile hain tufan mein sabhi dub to jate nahin 'akhgar' kuchh logon ko tufan mein kinare bhi mile hain