jahan-e-dil mein hue inqalab aur hi kuchh meri nigah ne dekhe the khwab aur hi kuchh mile hain talib-e-ifa ko kuchh nae wade sawal aur hi kuchh tha jawab aur hi kuchh dara na nar-e-jahannam se mujh ko ai waiz mere janam mein likhe hain azab aur hi kuchh saja ke lae the kuchh log nama-e-amal miyan-e-hashr hua ehtisab aur hi kuchh meri nigah ko ek umr mein mila ye bhed ki husn aur hi kuchh hai shabab aur hi kuchh hua hai sail-e-subuk-pa fishaar-e-baad se gum ye aaya marhala-e-inqilab aur hi kuchh nahin hain sath pe zahir abhi nishan jis ke butun-e-geti mein hai pech-o-tab aur hi kuchh