itna karam ki azm rahe hausla rahe is dil ke sath dard ka rishta sada rahe apni ana ke sath jiye kaj-ada rahe ab is ka kya malal ki be-dast-o-pa rahe khud-sakhta khudaon ka mujh ko nahin hai khauf teri nawazishon ka bas ek silsila rahe aadab-e-dosti se to waqif kabhi na the tahzib-e-dushmani se bhi na-ashna rahe ye bhi hamare daur ka ek alamiya hi hai rahne ko sath sath rahe par juda rahe