unhen qaid karne ki koshish hai kaisi khala mein sadaon ki bandish hai kaisi nihan mujh mein hai aur mere badan ka lahu chatti hai jo khwahish hai kaisi mujhe muskurane ki kis ne saza di meri zat par ye nawazish hai kaisi mili khushbuon ke jazire ki dawat mujhe phir rulane ki sazish hai kaisi muqaddar mein hai jab hamare andhere nazar mein sarabi si tabish hai kaisi nagar hai ye phulon ka to phir yahan par chatanen ugane ki kawish hai kaisi bahut shad aabaad rakhna tha us ko zamin par lahu ki ye barish hai kaisi