itna sannata hai basti mein ki dar jaega chand nikla bhi to chup-chap guzar jaega kya khabar thi ki hawa tez chalegi itni sara sahra mere chehre pe bikhar jaega hum kisi mod pe ruk jaenge chalte chalte rasta tute hue pul pe thahar jaega baadbanon ne jo ehsan jataya us par bich dariya mein wo kashti se utar jaega chalte rahiye ki saf-e-ham-safaran lambi hai jis ko raste mein thaharna hai thahar jaega dar-o-diwar pe sadiyon ki kohr chhai hai ghar mein suraj bhi jo aaya to thithar jaega fan wo jugnu hai jo udta hai hawa mein 'qaisar' band kar loge jo mutthi mein to mar jaega