umr-bhar dard ke rishton ko nibhane se raha zindagi mein to tere naz uthane se raha jab bhi dekha to kinaron pe tadapta dekha ye samundar to meri pyas bujhane se raha bas yahi soch ke sar apna qalam kar dala ab wo ilzam mere sar to lagane se raha is zamane mein jahaalat se guzar hoti hai ab hunar se to koi ghar ko chalane se raha hum hi tarkib karen koi ujalon ke liye ab andhera to charaghon ko jalane se raha waqt ke marmarin patthar pe ghazal likhta hun ye ibarat koi mausam to mitane se raha be-talluq to nahin umr guzari hai 'nafas' rishta-e-ghair sahi kuchh to zamane se raha