jab tera hukm mila tark mohabbat kar di dil magar is pe wo dhadka ki qayamat kar di tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta lafz sujha to muani ne baghawat kar di main to samjha tha ki laut aate hain jaane wale tu ne ja kar to judai meri qismat kar di tujh ko puja hai ki asnam-parasti ki hai main ne wahdat ke mafahim ki kasrat kar di mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar aata hai teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di puchh baitha hun main tujh se tere kuche ka pata tere haalat ne kaisi teri surat kar di kya tera jism tere husn ki hiddat mein jala rakh kis ne teri sone ki si rangat kar di