itne nazdik se aaine ko dekha na karo rukh-e-zeba ki latafat ko badhaya na karo dard o aazar ka tum mere mudawa na karo rahne do apni masihai ka dawa na karo husn ke samne izhaar-e-tamanna na karo ishq ek raaz hai is raaz ko ifsha na karo apni mahfil mein mujhe ghaur se dekha na karo main tamasha hun magar tum to tamasha na karo sari duniya tumhein kah degi tumhin ho qatil dekho mujh ko ghalat andaz se dekha na karo kaise mumkin hai ki hum donon bichhad jaenge itni gahrai se har baat ko socha na karo tum pe ilzam na aa jae safar mein koi rasta kitna hi dushwar ho thahra na karo wo koi shakh ho mizrab ho ya dil ho 'aziz' tutne wali kisi shai ka bharosa na karo