josh-e-junun bhi gardish-e-dauran se kam na tha dil tha to dasht-e-gham bhi gulistan se kam na tha rangini-e-jamal ki sarhad na thi koi aur hausla bhi hita-e-imkan se kam na tha kya kya basi thin suraten daman-e-khwab mein dasht-e-khayal shahr-e-nigaran se kam na tha har aarzu ko apni nihayat ki fikr thi bazar-e-shauq hashr ke maidan se kam na tha sach hai junun ki rah mein iman gaya magar pas-e-mizaj-e-yar bhi iman se kam na tha aawargi ko wusat-e-sahra bhi kam rahi dil ko jahan-e-shauq bhi zindan se kam na tha hum ko na thi junun mein tamiz-e-dimagh-o-dil daman ka chaak chaak-e-gareban se kam na tha apne liye tha bais-e-abaadi-e-nazar be-sakhta gurez jo paiman se kam na tha dekha na hum ne yan bhi shajar koi saya-dar yani dayar-e-ishq bayaban se kam na tha mujrim nahin the phir bhi satae gae hamin qazi ba-zom-e-khwesh sulaiman se kam na tha rahon mein zindagi ki luti sab mata-e-hosh uljhao un ka zulf-e-pareshan se kam na tha dil par raqam thi ek se ek turfa dastan koi bhi zakhm 'arsh' dabistan se kam na tha