jabin ka chand banun aankh ka sitara banun kisi jamal-e-shafaq-tab ka sahaara banun mohabbaton ki shikaston ka ek kharaba hun khudara mujh ko girao ki main dobara banun ye bhigi bhigi hawaon mein sard sard mahak jo dil ki aag mein utre to kuchh gawara banun har ek ghuncha-dahan ka yahi taqaza hai jamaliyat ka main aakhiri shumara banun zamana manzar-e-mauhum ka hai shaidai ye aarzu hai koi daur ka nazara banun har ek mauj ho uthti jawaniyon ki dhanak banun to aise samundar ka main kinara banun mujhe lagan ki main aaine ki misal rahun use hawas ki riwayat-e-sang-e-khara banun ghazal wo kyun na ho 'farigh' dur-e-adan ki jahan har ek sher ko zid ho ki shah-para banun