jine dega bhi hamein ai dil jien bhi ya na hum kya kahen ab tujh ko hum tujh ko kahen ab kya na hum uth gae hum darmiyan se uth gaya hum se hijab rah gae hum us ke ho kar rah gaya parda, na hum daulat-e-dil kya hai ja kar ahl-e-dil se puchhiye mal tha apna bhi kuchh jaane magar rakhna na hum ranj-e-ruswai nahin duniya hai ruswai ka ghar hain sabhi ruswa to yun samjho na tum ruswa na hum faeda kya rahti duniya tak agar koi raha ye to zahir hai ki rahne ke liye duniya na hum kha gai ahl-e-hawas ki waza ahl-e-ishq ko baat kis ki rah gai koi adu sachcha na hum khud-faramoshi ne rakkha hai giraftar-e-khudi chhutte kyun chhodte daman agar apna na hum is se kuchh hoti agar 'natiq' hamein taskin-e-taba aaj tak sab jama kar lete kalam apna na hum