mayassar KHwab hi mein aap ka didar ho jae

mayassar khwab hi mein aap ka didar ho jae
kisi surat to ye qismat meri bedar ho jae

karam-farma khizan pe gar nigah-e-yar ho jae
to jo hai khar gul ban kar gale ka haar ho jae

dikha de wo jamal apna kisi surat jo duniya ko
to duniya mahw ho kar mutlaqan bekar ho jae

ye hasti meri un ke darmiyan ek hadd-e-fasil hai
ye hasti meri mit jae to wasl-e-yar ho jae

jise sab shama kahte hain abhi ban jae parwana
mohabbat ka sar-e-mahfil agar izhaar ho jae

agar yusuf hamara misr mein aa jae be-parda
naya ek aur qaem husn ka bazar ho jae

bahaaren un ki aankhon ke ishaaron mein gul-afshan hain
zara wo dekh bhi len to khizan gulzar ho jae

khata kar kar ke halka kar raha hun daftar-e-qismat
khata gar ho na sarzad to khata ka bar ho jae

shahadat ki talab mein surkh-ru khud ko main jab samjhun
lahu-alud ai qatil teri talwar ho jae

hai tufan-e-nadamat aur kashti mere isyan ki
jo tera lutf ho jae to beda par ho jae

'umar' jo kuchh wo den le lo ba-sad-shukr-o-niyaz un se
kahin aisa na ho iqrar se inkar ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close