kaam aasan hai magar dekhiye dushwar bhi hai aage darwaze ke rakkhi hui diwar bhi hai dene wale se mujhe koi shikayat kyun hai rah mein dhup bhi hai saya-e-ashjar bhi hai qatl kar ke jo mujhe sae mein phenk aaya hai log kahte hain wahi mera taraf-dar bhi hai tujh ko bas apni hi taswir nazar aati hai aaine mein kahin hairat kahin zangar bhi hai kyun bhala waqt ka nuqsan karoge pyare jo yahan ab hai tamasha wahi us par bhi hai mere aaba se mujhe kya na mila hai 'hamdam' taq mein dekhiye mushaf bhi hai talwar bhi hai