kabhi lutf-e-zaban-e-khush-bayan the zamin-e-sher ke hum aasman the laga thokar na pae naz se tu kabhi taj-e-sar-e-hindostan the zamin par charkh deta hai abas tu kabhi pir-e-falak hum bhi jawan the zar-e-gul ban gaya nala hamara chaman mein bhi hamin aatish-fishan the makin thi ruh chhoda jism jis dam kirae ke ye sab qasr-o-makan the wahi jangal hai ab par us se aage chaman the gul the hum the baghban the nahin ab zabt baqi na-tawan hun mere aansu nihayat raaz-dan the mere nalon se pahuncha qafila sab jaras bekar mashghul-e-fughan the jagaya na-tawan-binon ne un ko abas wo mail-e-khwab-e-garan the dabe zer-e-zamin ai charkh mah-ru yahan do din ke ye sab mehman the ajab mausam mein katti thi jawani chaman tha aur lutf-e-qissa-khwan the kahan majnun kahan 'farhad'-o-'wamiq' hamari maut ke sab nauha-khwan the sawad-e-lucknow chhoda alam mein ye 'akhtar' bhi ghazab ke khush-bayan the