ja chhupi hai kahan guphaon mein

ja chhupi hai kahan guphaon mein
ai khushi ab jhalak adaon mein

zindagi bojh banti jati hai
kuchh to tarmim kar sazaon mein

ek nazar to palat ke dekh zara
main bhi hun teri aashnaon mein

shahr ka shahr yun diwana nahin
baat kuchh to hai in adaon mein

did se hi ilaj mumkin hai
zahr hi zahr hai dawaon mein

zist ki har tapish mein jalti rahi
yar baithe rahe hawaon mein

ai hayat is-qadar na mushkil ho
khauf ho teri dhup chhanw mein

mujh ko taslim hai jafa teri
hai aqidat meri wafaon mein

mujh ko mujh se churane wale sun
tu hai shamil meri duaon mein

aasman main bhi chhu hi sakti thi
bediyan hain anek panw mein

zikr ab to karo mohabbat ka
kitni nafrat hai in fazaon mein

raat bhar jagte hain bachche bhi
ab nahin farq shahar ganw mein

bas pasine nasib mein aae
zindagi teri dhup chhanw mein

waqt ke mare tanha tum hi nahin
main bhi shamil hun mubtalaon mein

zindagi aur kitna chalna hai
aable pad gae hain panw mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close