ubhar rahi hai kiran subh-e-zu-fishan ke liye sanwar rahi hai faza husn-e-gulistan ke liye meri fasurda ummidon ko kar diya khandan ye iltifat-e-nazar ek shikasta jaan ke liye khuda ke dar pe to sajda-kunan hai ek duniya meri jabin hai faqat tere aastan ke liye tere huzur mein aaya to kho gaya aisa zaban khul na saki arz-e-dastan ke liye unhen shikast-e-mohabbat ka khauf kya 'akhgar' kafan-badosh jo nikle hain imtihan ke liye