jhut raushan hai ki sachchai nahin jaante hain log ab wahm o guman ko hi yaqin jaante hain ye alag baat ki aati nahin duniya-dari ahl-e-duniya ko magar gosha-nashin jaante hain taq o mehrab ka rona ho ki diwar ka gham baam o dar par jo guzarti hai makin jaante hain waraq-e-dil pe abhi naqsh hai shab-nama-e-gham phir bhi har subh ko hum subh-e-hasin jaante hain jhuk ke milte to hain wo khak-nashinon se magar aasman walon ko hum ahl-e-zamin jaante hain sab ke honton pe munawwar hain hamare qisse aur hum apni kahani bhi nahin jaante hain koi dar qabil-e-tazim nazar to aae sar jhukana hai kahan ahl-e-jabin jaante hain