jaan-ba-lab waise hi the aur hamein mar chala dhup ke sath kahan saya-e-diwar chala baz-gashton ke taaqub se pareshan ho kar main bhi aawaz ke jangal mein dhuan-dhaar chala main ne hum zawiya qabu nahin paya ab tak ai tamanna mere sine mein na talwar chala ye safar wo hai jahan sans ke par jalte hain tujh ko zid hai to phir ai hasti-e-bekar chal aa chaak-damani se pahle hi bikhar jaenge yun shagufon mein agar tazkira-e-khar chala gir padi ret ki diwar to mayusi mein gard-e-wahshat na uda khun ki bauchhaar chala