kisi ka khun sahi ek nikhaar de to diya khizan ko tum ne libas-e-bahaar de to diya mere shuur ko kaliyan ab aur kya detin tasawwur-e-lab-e-rangin-e-yar de to diya ab aur khizr se kya chahti hai pyas meri sarab-e-rahmat-e-parwar-digar de to diya agarche jabr hai ye bhi magar ghanimat jaan ki ek jazba-e-be-ikhtiyar de to diya ye aur baat ki daman ko phul de na saki magar bahaar ne talwon ko khar de to diya bahaar aae na aae magar lahu ne mere chaman ki khak ko ek e'tibar de to diya ummiden chhin lin us ne to phir gila kya hai qarar mang rahe the qarar de to diya kare khuda se gila kyun kisi ki majburi kisi ke dil pe sahi ikhtiyar de to diya 'jamil' us aatish-e-rukh ko hawa na do itni ab aur chahiye kya ek sharar de to diya