jaan-e-gulshan jo hue wo gul-e-tar dekhe hain hum ne mausam ke hasin rang kidhar dekhe hain tum se milte hain jo hum un ki tasalli ke liye warna aise to bahut sham-o-sahar dekhe hain aalam-e-be-sar-o-saman nahin guzra tum par tum ne kab aag mein jalte hue ghar dekhe hain hakim-e-waqt dilon par thi hukumat un ki hum ne aise bhi kai khak-basar dekhe hain apne hathon hi mita dete hain khud apna nishan aise insan nahin dekhe magar dekhe hain in gali-kuchon pe ye waqt bhi aaya 'manzar' shahar walon ke badan khun mein tar dekhe hain