jaan-fishani ka wan hisab abas jo kaho us ka hai jawab abas mahtab aur katan ka aalam hai aariz-e-dost par naqab abas qufl-e-dar ki kalid na-paida ab tamanna-e-fath-e-bab abas zulf-e-pur-kham hawa se kyun na hile aap khate hain pech-o-tab abas khat use bhejna zarur magar dost se khwahish-e-jawab abas mere ashaar sab bayazi hain ham-nashin fikr-e-intekhab abas hai hamari nazar mein hurmat-e-mai pechish-e-ahl-e-ehtisab abas yan nahin kufr-o-din khauf-o-raja lutf be-faeda itab abas na sawab us mein hai na is mein asar sabr ba-huda iztirab abas wada us ne kiya to kya 'nazim' abas ai khanuman-kharab abas