jaan-gudaz itni kahan aawaz-e-ud-o-chang hai dil ke se nalon ka un pardon mein kuchh aahang hai ru-o-khal-o-zulf hi hain sumbul-o-sabza-o-gul aankhen hun to ye chaman aaina-e-nairang hai be-sutun khode se kiya aakhir hue sab kar-e-ishq baad-azan ai kohkan sar hai tera aur sang hai aah un khush-qamaton ko kyunke bar mein laiye jin ke hathon se qayamat par bhi arsa-e-tang hai ishq mein wo ghar hai apna jis mein se majnun ye ek na-khalaf sare qabile ka hamare nang hai chashm-e-kam se dekh mat qumri to us khush-qad ko tak aah bhi sard gulistan shikast-e-rang hai hum se to jaya nahin jata ki yaksar dil mein wan do-qadam us ki gali ki rah sau farsang hai ek bose par to ki hai sulh par ai zud ranj tujh ko mujh ko itni itni baat upar jang hai panw mein chot aane ke pyare bahane jaane de pesh-raft aage hamare kab ye uzr lang hai fikr ko nazuk khayalon ke kahan pahunche hain yar warna har misra yahan mashuq shokh-o-shang hai sarsari kuchh sun liya phir wah-wa kar uth gae sher ye kam-fahm samjhe hain khayal bang hai sabr bhi kariye bala par 'mir'-sahib ji kabhu jab na tab rona hi kudhna ye bhi koi dhang hai