jhiDki nahin dete hain ki ghussa nahin hota

jhidki nahin dete hain ki ghussa nahin hota
aashiq pe sitam wasl mein kya kya nahin hota

badnam hua karte hain go ishq mein aashiq
par meri tarah koi bhi ruswa nahin hota

juz sharbat-e-didar karo lakh dawaen
bimar-e-mohabbat kabhi achchha nahin hota

khalkhal ki aawaz se chaunk uthte hain murde
kab hashr tere kuche mein barpa nahin hota

baad-e-sahari se koi ghuncha nahin khilta
jab tak ki tera band-e-qaba wa nahin hota

rahta hai tasawwur jo ek aaina-jabin ka
hairat nahin hoti hai ki sakta nahin hota

kab yar ke mizhgan ka tasawwur nahin 'wahbi'
kab jism mera sukh ke kanta nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close