jaan jati nahin aur jaan se guzar jate hain hum judai ke bhi ehsas se mar jate hain bandh kar rakht-e-safar soch rahi hun kab se jin ka ghar koi nahin hota kidhar jate hain jin ko tariki mein raaton ki munawwar dekha subh hoti hai to phir jaane kidhar jate hain jab bhi khuddari ki diwar ko dhana chahen apne andar ki sada sun ke thahar jate hain raste us ne yun taqsim kiye the 'amabar' ab udhar jaana hai tum ko hum idhar jate hain