us ke tarz-e-guftugu pe dil fida ho jaega han magar ye dil kabhi sahra numa ho jaega ho agar mumkin sadaf kei rah dikhla de use warna har qatra hawaon mein hawa ho jaega aadmi ne aaj tak khoya nahin apna wajud aaina tuta agar to hadisa ho jaega bandh le rakht-e-safar jab fasle ka dar nahin ba-amal hai jo bhi manzil aashna ho jaega soch kar rakhna hamesha apni chahat ka bharam warna khud se tu hi khud na-ashna ho jaega