jins-e-makhlut hain aur apne hi aazar mein hain hum ki sarkar se bahar hain na sarkar mein hain aab aate hi chamak uthte hain sab naqsh-o-nigar khak mein bhi wahi jauhar hain jo talwar mein hain sab faroshinda-e-hairat hun zaruri to nahin hum se be-zar bhi is raunaq-e-bazar mein hain halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khucha-e-khak aish jitne hain isi kunj-e-kam-asar mein hain ho chuka adl dukan band kar ai tajir-e-haq ye saza kam hai ki hazir tere darbar mein hain