jaan ki bari hai ab dil ka ziyan aisa na tha khair jo kuchh bhi hua hum ko guman aisa na tha sakht jaisi ab hai qadmon mein zamin aisi na thi sar pe jaisa ab hai bhaari aasman aisa na tha ek zamana ho gaya is rah se guzre hue ye gali aisi nahin thi ye makan aisa na tha tha khas-o-khashak ki manind apna hi wajud sirf hum par hi giri hon bijliyan aisa na tha us kinare ka tasawwur mein bhi aana hai muhaal tha to pahle se samundar be-karan aisa na tha apni nakaami to pahle se muqaddar thi 'shakil' hum pe kuchh mushkil raha ho imtihan aisa na tha