shahr sahra hai ghar bayaban hai dil kisi anjuman ka khwahan hai mujh se kahti hain wo udas aanhken zindagi bhar ki sab thakan yan hai khwab tute pade hain sab mere main hun aur hairaton ka saman hai har masarrat gundhi hui dukh mein arz-e-azdad dasht-e-imkan hai tu samundar ki be-kanari dekh us mein mear-e-zarf pinhan hai hain rawa sare na-rawa us ko ye nae mausamon ka insan hai mar ke pahuncha to hun lab-e-dariya khali ab tishnagi ka daman hai sab ne 'shahid' chune pasand ke phul gul-kada phir bhi gul-ba-daman hai