manzilon se begana aaj bhi safar mera raat be-sahar meri dard be-asar mera gumrahi ka aalam hai kis ko ham-safar kahiye thak ke chhod baithi hai sath rahguzar mera wo farogh-e-khalwat bhi anjuman-sarapa bhi bhar gaya hai phulon se daman-e-nazar mera ab tere taghaful se aur kya talab kije shauq-e-na-rasa mera ishq-e-mo'atabar mera daur-e-kam-ayari hai kuchh pata nahin chalta kaun mera qatil hai kaun chaara-gar mera na-guzir hasti hain fasl-e-gul ke hangame shozish-e-numu teri fitna-e-sharar mera kuchh batao to aakhir kya jawab dun us ko ek sawal karta hai roz mujh se ghar mera aasman ka shikwa kya waqt ki shikayat kyun khun-e-dil se nikhra hai aur bhi hunar mera dil ki be-qarari ne hosh kho diye 'taban' warna aastanon par kab jhuka tha sar mera