kab juda hai mujh se dilbar kab main dilbar se juda ho na gauhar aab se aur aab gauhar se juda ruh tan se jaan badan se hosh hai sar se juda kya kashakash mein phansa hun jab se dilbar se juda ho gai barbaad mitti mil gaya main khak mein jab hua naqsh-e-qadam ki tarah us dar se juda hashr mein kis ki gareban-gir hogi ai khuda kyon hui khak apni daman-e-sitamgar se juda kya hi talea ka sitara hai nahusat mein mera ho gaya wo mah jaise mujh bad-akhtar se juda lakht-e-dil aage chala pichhe rawan hai fauj-e-ashk ho nahin sakta ye lashkar apne afsar se juda jagne se ghair ke hamdam kahen kya raat bhar hum ko wo tarse juda aur un ko hum tarse juda josh par hai chashm-e-tar wahshat na le ja soe dasht mausam-e-barish mein hum hon kis tarah ghar se juda kab bache jab bahr-e-shor-afza mein ek tifl-e-saghir ho talatum mein kahin dast-e-shanawar se juda pae wo qar-e-jahannum mein jagah apni wahan yan ho jis ka hath daman-e-payambar se juda garche hai kam-fursati 'daula' ghazal kah aur bhi in dinon az-bas hai tu shokh-e-sitamgar se juda