nafas ke loch mein ram hi nahin kuchh aur bhi hai hayat saghar-e-sam hi nahin kuchh aur bhi hai teri nigah mere gham ki pasdar sahi meri nigah mein gham hi nahin kuchh aur bhi hai meri nadim mohabbat ki rifaton se na gir buland baam-e-haram hi nahin kuchh aur bhi hai ye ijtinab hai aks-e-shuur-e-mahbubi ye ehtiyat-e-sitam hi nahin kuchh aur bhi hai idhar bhi ek uchatti nazar ki duniya mein farogh-e-mahfil-e-jam hi nahin kuchh aur bhi hai nae jahan basae hain fikr-e-adam ne ab is zamin pe iram hi nahin kuchh aur bhi hai mere shuur ko aawara kar diya jis ne wo marg-e-shadi-o-gham hi nahin kuchh aur bhi hai