kya us ka gila yurish-e-tohmat bahut hai zinda hain jo hum log yahi baat bahut hai jo tum ne bujha dale diye un ko jala do ai subh ke matawalo abhi raat bahut hai is waste gul-chin ko hui mujh se adawat tazin-e-gulistan mein mera hath bahut hai in firqa-paraston ke dilon mein hai kudurat aur wird-e-zaban lafz-e-musawat bahut hai in amn-pasandon ke parakhne ko kasauti is daur ki tafsil-e-fasadat bahut hai ye beton ke sar bhai ka khun bahnon ki chikhen ibrat ho agar hum ko ye saughat bahut hai behis ho jo insan to kahe jaiye kuchh bhi ghairat ho agar dil mein to ek baat bahut hai sine se tari gham ko lagae to rakhenge na-saz magar gardish-e-haalat bahut hai han baitho gada ban ke baras jaegi daulat in pukhta mazaron mein karamat bahut hai