jaana ki shaghl rakhte ho tir-o-kaman se tum par mil chala karo bhi kaso khasta-jaan se tum hum apni chaak jeb ko si rahte ya nahin phate mein panw dene ko aae kahan se tum ab dekhte hain khub to wo baat hi nahin kya kya wagarna kahte the apni zaban se tum tinke bhi tum thaharte kahin dekhe hain tanik chashm-e-wafa rakho na khasan-e-jahan se tum jao na dil se manzar-e-tan mein hai ja yahi pachhtaoge uthoge agar is makan se tum qissa mera sunoge to jati rahegi nind aaram chashm mat rakho is dastan se tum khul jaengi phir aankhen jo mar jaega koi aate nahin ho baz mere imtihan se tum jitne the kal tum aaj nahin pate itna hum har-dam chale hi jate ho aab-e-rawan se tum rahte nahin ho ban gae 'mir' us gali mein raat kuchh rah bhi nikalo sag-o-pasban se tum