kapde badal ke aae the aag mujhe laga gae apne libas-e-surkh ki mujh ko bhadak dikha gae baithe ada se ek pal naz se utthe phir sambhal pahlu chura gae nikal ji hi mera jala gae rakhte hi dar se pa barun le gae sabr aur sukun fitna-e-khufta tha junun phir wo ise jaga gae mujh ko to kaam kuchh na tha go ki wo the pari-laqa bar-e-khuda ye kya hua kyun wo mujhe sata gae hai ye ajab tarah ki baat kyunki na maliye apne hath dil pe hamare wo to raat chauki si ek bitha gae sehr kiya ki totka aai ye wae kya bala hae ye ji kidhar chala zor-e-ada dikha gae garche na the kuchh itne garm lek dikha ada-e-sharm dil ko lage jo narm narm sakht qalaq laga gae aawenge phir bhi 'mushafi' dekhne mere ghar kabhi atka hai ab to un se ji garche wo munh chhupa gae