jis tarah waqt ki sarhad ka kinara hi na ho din usi taur guzara ki guzara hi na ho tark-e-ulfat ko zamana hua lekin ab tak aisa lagta hai tujhe dil se utara hi na ho chup rahe tu to lage jaise pukara hai mujhe jab pukare to lage jaise pukara hi na ho soch lene se ghazal sakhta ho jati hai wo ghazal pesh karo jis ko sanwara hi na ho log tajjar zamane mein bahut hain ab bhi sochte hain jo mohabbat mein khasara hi na ho zindagi chahiye sairab nazar karne ko warna ik-adh jhalak se to guzara hi na ho 'abdi' tutte tare nazar aae hain mujhe ye zamin chhod ke jaane ka ishaara hi na ho