jaana to bahut dur hai mahtab se aage badhte hi nahin panw tere khwab se aage kuchh aur hasin mod the rudad-e-safar mein likkha na magar kuchh bhi tere bab se aage tahzib ki zanjir se uljha raha main bhi tu bhi na badha jism ke aadab se aage moti ke khazane bhi tah-e-ab chhupe the nikla na koi khatra-e-girdab se aage dekho to kabhi dasht bhi aabaad hai kaisa niklo to zara khitta-e-shadab se aage bichhda to nahin koi tumhaara bhi safar mein kyun bhage chale jate ho betab se aage duniya ka chalan dekh ke lagta to yahi hai ab kuchh bhi nahin aalam-e-asbab se aage