kafir tujhe allah ne surat to pari di par haif tere dil mein mohabbat na zari di di tu ne mujhe saltanat-e-bahr-o-bar ai ishq honton ko jo khushki meri aankhon ko tari di khal-e-lab-e-shirin ka diya bosa kab us ne ek chat lagane ko mere nishkari di kafir tere sauda-e-sar-e-zulf ne mujh ko kya kya na pareshani o aashufta-sari di mehnat se hai azmat ki zamane mein nagin ko be-kawish-e-sina na kabhi namwari di sayyaad ne di rukhsat-e-parwaz par afsos tu ne na ijazat mujhe be-baal-o-pari di kahta tera kuchh sokhta-jaan lek ajal ne fursat na use misl-e-charagh-e-sahari di qassam-e-azal ne na rakha hum ko bhi mahrum garche na diya koi hunar be-hunari di us chashm mein hai surme ka dumbaala pur-ashob kyun hath mein badmast ke banduq bhari di dil de ke kiya hum ne teri zulf ka sauda ek aap bala apne liye mol kharidi saqi ne diya kya mujhe ek saghar-e-sarshaar goya ki do aalam se 'zafar' be-khabari di