jaanan dil ka shahr nagar afsos ka hai tera mera sara safar afsos ka hai kis chahat se zahr-e-tamanna manga tha aur ab hathon mein saghar afsos ka hai ek dahliz pe ja kar dil-khush hota tha ab to shahr mein har ek dar afsos ka hai hum ne ishq gunah se bartar jaana tha aur dil par pahla patthar afsos ka hai qurbat ke us ped ki shakhon par dekho phul udasi ka hai samar afsos ka hai haar ke dukh se pachhtawa badh kar hai 'faraaz' dukh ka nahin afsos magar afsos ka hai