zakhm-e-dil aur hara khun-e-tamanna se hua tishnagi ka meri aaghaz hi dariya se hua chubh gai halq mein kanton ki tarah pyas meri dasht sairab mere aabla-e-pa se hua dil-e-zinda ko chuna dard ki diwaron mein rok leti mujhe itna bhi na duniya se hua sar mein sauda tha magar panw mein zanjir na thi khak udata raha mansub na sahra se hua pher din kis ne salakhen si meri aankhon mein kaun angusht-numa taq-e-tamasha se hua dur ja kar meri aawaz suni duniya ne fan ujagar mera aaina-e-farda se hua bu mizajon se gai rang ude chehron ke khush yahan kaun mere dida-e-bina se hua ajnabi sa nazar aaya hun 'muzaffar' khud ko be-takalluf jo main is ahd-e-shanasa se hua