jab tak safed aandhi ke jhonke chale na the itne ghane darakhton se patte gire na the izhaar par to pahle bhi pabandiyan na thin lekin badon ke samne hum bolte na the un ke bhi apne khwab the apni zaruraten ham-sae ka magar wo gala katte na the pahle bhi log milte the lekin talluqat angdai ki tarah to kabhi tutte na the pakke gharon ne nind bhi aankhon ki chhin li kachche gharon mein raat ko hum jagte na the rahte the dastanon ke mahaul mein magar kya log the ki jhut kabhi bolte na the 'azhar' wo maktabon ke padhe mo'atabar the log baisakhiyon pe sirf sanad ki khade na the