sanam khush tabiyan sikhe ho tum kin kin zarifon sin ki ye lutf-e-ada malum hota hai latifon sin likhun wasf us ki zulfon ke qalam kar shakh-e-sumbul kun dawaton mein siyahi bhar gul-e-shabbu ki qifon sin teri sidhi nigahen in dinon mein garm-e-ulfat hain mujhe saifi lagi hai hat kai wird aur wazifon sin khayal is ka ham-aghosh-e-nazar hai sat pardon mein ajab shokhi sin pesh aaya hai ye shokh un afifon sin kahan pae maze ke is qadar us ne bade koi teri aankhon kun sau darje sharafat hi sharifon sin hujum-e-bul-hawas ke shama-e-majlis ho so kya mani latifon kun rawa nin ikhtilat aise kasifon sin mizajen na-muwafiq hon to kab sohbat barar hoe nahin milti hamari taba in duniya ke jifon sin abas mat dekh aankhen phad phad in chashm-e-khunin kun pada nin nargis-e-baghi tujhe kaam in harifon sin khas-o-khashak-e-rah hain hum tere ai shoala-khu zalim munasib nin hai itni sar-kashi aakhir zaifon sin subuk ruhan-e-mani bu-e-gul hain bagh-e-irfan ke har ek khar-e-giran jaan kun khabar kya in latifon sin ghalat nin hai ki bulbul hafiz-e-sipara-e-gul hai sanad rakhta hun main gul-barg ke rangin sahifon sin raqib us sang-dil sin muntazir hain ham-kalami ke sukhan karta hai kab wo koh-e-tamkin in khafifon sin sawar-e-tausun-e-mani hun chaugan-e-tabiat sin liya hun gu-e-maidan-e-sukhan mein hum radifon sin adib-e-ishq ke shagird hain farhad aur majnun ki koh-o-dasht ka maktab hai garm in do khalifon sin 'siraj' is shama kun hai shauq parwane jalane ka dua kar ya ilahi mom dil hoe hum najifon sin