zahir meri shikast ke aasar bhi nahin mujh ko yaqin fath ka is bar bhi nahin qaid-e-makan se dekhiye kab tak rihai ho ab tak to bad-guman dar-o-diwar bhi nahin kis sehr ki giraft mein aae hue hain hum aankhen bhi hain khuli hui bedar bhi nahin jo kuchh ki dil mein ho bhari mahfil mein kah sake har shakhs mein ye jurat-e-izhaar bhi nahin kya asl kaenat ko 'saifi' samajh sakun mujh par ayan to zat ke asrar bhi nahin