jaane kis daur ki saza hun main ibtida hun ki intiha hun main apni dhadkan se kar mujhe mahsus sirf sanson ka silsila hun main tutna hi mera muqaddar hai khwab hun ya ki aaina hun main mujh ko sun le qubul bhi kar le ek nannhi si iltija hun main zindagi se ajal ke daman tak chand lamhon ka fasla hun main koi jhonka mita na paya jise nam wo ret pe likha hun main zindagi mujh se haar jaegi aazmaish ki intiha hun main mujh se qaem hai raunaq-e-hasti khud ki hasti se hi khafa hun main ab jo soya to so hi jaunga umr bhar jagta raha hun main jism ki qaid mein raha hun kabhi aur kabhi jism se riha hun main