jab aankhon mein KHwab suhane rahte hain

jab aankhon mein khwab suhane rahte hain
ek ek pal mein kai zamane rahte hain

sari khushiyan us ke paron mein rahti hain
jab chidiya ki chonch mein dane rahte hain

ranj-o-gham ki dhup yahan aae kaise
is basti mein log purane rahte hain

jab zinda-dil sadkon par aa jate hain
har wahshat ke hosh thikane rahte hain

sari duniya pyar ki mari hai lekin
nazron mein kuchh ek diwane rahte hain

yaadon ke dhundle dhundle se mausam mein
kuchh chehre jaane pahchane rahte hain

meri ghazlon meri nazmon mein yaro
lafzon ke bas tane-bane rahte hain

har manzar aankhon se guzarta hai phir bhi
log siyane hain anjaane rahte hain

sirf bharam ummid ka rakhne ki khatir
rishton ke sab bojh uthane rahte hain

be-ghar hain dukh dard 'zahin' un ke aksar
khushiyon ke ghar aane jaane rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close