tadapte rahte hain pani ke dhaare apni jagah jame hue hain nadi ke kinare apni jagah nigar-e-shab ki subuk-gamiyon pe marte hue ragon mein daud rahe hain sharare apni jagah shua-e-mahr bujhane mein ho gai nakaam chamak rahe hain falak par sitare apni jagah kahan wo aanch jo us ke khayal se nikle wo husn apni jagah ye nazare apni jagah badan samet ke dekha jo us ne meri taraf simat ke rah gae sab istiare apni jagah aham hain khama-e-dil ki nigarishen lekin nigah-e-yar ke 'yawar' shumare apni jagah