jabin-e-shauq pe gard-e-malal chahti hai meri hayat safar ka maal chahti hai main wusaton ka talabgar apne ishq mein hun wo meri zat mein ek yarghamal chahti hai hamein khabar hai ki us mehrban ki chaaragari hamare zakhmon ka kab indimal chahti hai tumhaare baad meri aankh zid pe aa gai hai wahi jamal wahi khadd-o-khal chahti hai hum us ke jabr ka qissa tamam chahte hain aur us ki tegh hamara zawal chahti hai hari ruton ko idhar ka pata nahin malum barhana shakh abas dekh-bhaal chahti hai