jaane kis waste dil chashm-e-karam mange hai zindagi aap se phir dida-e-nam mange hai hum kahan jaenge ab teri gali se uth kar kis ka dil hai jo yahan dair-o-haram mange hai mujh ko phulon ki hawas hai na to moti ki talash kasa-e-chashm mera dast-e-karam mange hai chashm-e-nam ko kisi daman ki tamanna hi sahi dil-e-betab magar aap ka gham mange hai jaane kis waste ek shakhs ki bahki hui chaal har-qadam aap ke hi naqsh-e-qadam mange hai koi diwana tamannaon ko zakhmi pa kar zindagi-bhar ke liye ranj-o-alam mange hai aaina-khanon ki yak-rangi se ukta ke 'rais' aazar-e-waqt bhi patthar ke sanam mange hai