jaane kitni der chalegi sath mere chamkili dhup aane wala mausam lae shayad gili gili dhup qarya qarya kanp raha hai sard hawa ke jhonkon se kitne aangan garmaegi tanha ek akeli dhup chanchal shokh-ada kirnen to dur disha tak ja pahunchin baithi khud ko kos rahi hai aangan ki sharmili dhup azmat ki mustahkam choti shayad us ko ras na aai har chaukhat ko chhune nikli shohrat ki rangili dhup hum ne apni hirs-o-hawas ko bakhshi itni tabani ab ki sadi mein shayad phaile basti mein zahrili dhup